Sai Ke Pyaar Ki Soorat... Sai's Love is Indescribable...

Sri Sathya Sai with the University Qawalli Group on November 22, 2001




Kaun Hai Jisne Talaatum Mein Mujhe Thaam Liya?
Kaun Hai Jisne Kinaare Pe Lagaa Di Meri Kashti?
Kaun Hai Jisne Zamaane Ke Zulm Khud Sah Kar
Apne Seene Mein Chhupa Li, Meri Phaaka – Maasti
Voh Kaun Hai Voh Kaun Hai?
Pyaar Hai Voh Pyaar Hai, Pyaar Khuda Ka
Khuda Ke Pyaar Ki Soorat Bayan Nahin Hoti (Nahin Hoti...)
Sai Ke Pyaar Ki Soorat Bayan Nahin Hoti
Raham Ki Uske Koyi Intiha Nahin Hoti
Sai Ke Pyaar Ki... Haan Ji Suniye
Voh Khaaksaar Ko Chaahe To Taaj Pahana De
Voh Ashkabaar Nazar Mein Bhi (Haan Ji) Ik Hasi Laa De
(Hasi Laa De...) Sai Ke Pyaar Ki...
Jo Bhatakte Hain, Nahi Paate Raasta Koi 
Unhen Ishaare Se Manzil Pe Thahara De (Voh Khaaksaar…)
(Hasin Laade... Sai Ke Pyaar Ki...)
Kaun Hai Jisne Meri Dushmani Ko Pyaar Kiya?
Kaun Hai Jisne Mere Ghute Huye Armaanon Ko Ek Harkat Di?
Kaun Hai Jisne Muflisi Mujhse Cheenkar Mujhe Aabaad Kiya?
Kaun Hai Jisne, Khud Ko Paamaal Kiya Aur Mujhe Barkat Di?
Voh Kaun Hai? Pyar Hai Voh Pyar Hai... Sai Ke Pyar Ki...
Jahaan Bhi Dekhiye To Jalva Uska Hai
Usi Ko Dekh Bageeche Mein (Hanji) Phool Khilta Hai
(Jahaan Bhi Dekhiye…)
Naseem Kaanon Mein Aake Uske Gungunaati Hai
Binaa Khuda Ki Razaa Ke, Paat Na Hilta Hai...
Ye Uski Jaadugari Hai, Bayaan Nahi Hoti...
Nahi Hoti, Nahi Hoti, Bayaan Nahi Hoti, Sai Ke Pyaar Ki...
Karo Jo Aarati Mandiron Mein Useeko Pahunchegi
Padho Namaaz Mazjidon Mein, Useeko Pahunchegi (Ya Allah...)
Tumhaara Girija Ho Ya Tumhaara Gurudwaara
Sadaa Jo Dil Se Nikaaloge Useeko Pahunchegi
Sadaa Jo Dil Se Nikalegi Useeko Pahunchegi  
Na Poori Ho, Voh Koi Iltiza Nahin Hoti
Sai Ke Pyaar Ki Soorat...


2 comments:

  1. Gifted singers. Beautiful lyrics..soulful qawalli.

    ReplyDelete
  2. Sairam, can you please provide a line-by-line meaning for this beautiful qawwali so that those who don't know the language can understand its essence?

    ReplyDelete

Back to Top